Monday, April 7, 2008

Ayeena

View Point No 1:

Kaun kahta hai ki humne faisala badal diya.....
yeh baat aur ki raasta badal diya
Bandishe to thi bahut
aur hum bhi shaatir kam naa the
Na surate badal sake to aaeena badal diya

View Point No 2:

Zindagi se Badi Saza hi Nahi,
Aur kya Jurm hai pata hi nahi,
Jad do Chaandi main Chahe sone main,
Aayeena Jhooth bolta hi nahi

3 comments:

Phoenix said...

Dono alag kahan, baat to ek hi kehte hain
Ki hum to zindagi se har pal bhagte hi rehte hain
Par chahe jitne bhage, jitne badlein nazariye
Aayeena sach bol hi deta hai, aisa duniya wale kehte hain
:)

Shantanu said...

@pheonix
hmm baat to theek hai aapki, par dono main ek gahra fark hai, pahle waale main ek optimism hai, shayad ek ajeeb sa junoon jo sab kuchh badalne ke liye tatpar hai. Aur doosre waale main ek ajeeb si mayoosi. Jaise maano zindagi ki ladayi bhaari si pad rahi ho....
Hmm aaeena sach to bolta hai, par wahi sach jo aap dekhna chahte hain!